Sunday 6 November 2011

Allah sy Guftugu



Banday ke guftagoo jo wo apnay Maalik sy karay ga

HAZRAT ANAS R.A ne kaha k,
hum RASOOL ALLAH S.A.W k pass bethay thay,
itne men AAP S.A.W hansay, farmaya,
"tum jaantay ho MAI kis waastay hansta hoon?"
Hum ne kaha ALLAH aur Uska RASOOL khoob jaanta hai.
AAP S.A.W ne farmaya,
"MAI hansta hoon banday ki guftagu par jo wo apne MAALIK se karay ga.
Banda kahay ga,AY MAALIK mere! kya TU mujh ko panah nahi day chuka hai zulm say" (yani TU ne wada kia hai k zulm na karoon ga),
AAP S.A.W ne farmaya,
"KHUDA TAALA jawab day ga,HUM zulm nahi kartay".
AAP S.A.W ne farmaya,"phir banda kahay ga k mai jaiz nahi rakhta kisi ki gawahi,apne upar siwa apni zaat ki gawahi k",
PARWARDEEGAR farmaye ga,"acha teri zaat ki gawahi tujh par aaj k din kafayat karti hai aur karaman katibeen ki gawahi".
AAP S.A.W ne farmaya,"phir mohar lag jaye gi banda k munh par aur uske hath paon se kaha jaye ga,
tum bolo,

wo uske saray aamaal bol dain gay,phir banda ko baat karne ki ijazat di jaye gi,
banda apne hath paon se kahay ga,
chalo dur ho jao, ALLAH ki maar tum par, mai tou tumhare liay jhagra krta tha
(yani tmhe dozakh se bachany k liay)".
(muslim)

No comments:

Post a Comment